Monday, 24 June 2013

zara socho

Hamaray darmian qayam hai jo Is rabt ko kia naam do gay tum? Zara socho! Azal se hi zamana chahat’on k dard se na-aashna thehra Lughat mein iski khushbu sa koi bhi lafz Shamil hi nahi jana Ye jab chahay milan k rung mein Aa kar judai ghol deta hai Ujalay ko ye jab chahay siyah kar de Sitar’on ko fana kar de Muhabbat Saneha Kar De. . !

No comments:

Post a Comment