Sunday, 30 June 2013

khawab0n ki woh rah guzar

Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar Jis ki manzil thi ujra hua sagar Surmai sham thi jis key char’on taraf Jis mein manzar judai key thay safba saf Wasal tha sar ba-kaf Ban gaya kirchi’yan man ka nazuksadaf Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar..? Sang rez’on ki barish hoi thi jaha’n Aur komal jazbey be-hadaf ban gaye Paimali ney in ko lahoo ker diya Ba-wazo ker diya…sur-kharo ker diya Aaj bhi jo musafir gaya is taraf Us nay paya nahi wapsi ka nisha’n Is ko dhonda falaq ney yahan sey waha’n Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar..?

No comments:

Post a Comment